Tere Mere Beech Zamana Parta Hai




tere mere beech zamana parta hai
dil ko kitni baar batana perta hai


thehar gayi hai baat muqadder per aa ker
khud ko ye aksar samjhana parta hai


sochon ko kab qaid koi ker paya hai
lekin khud ko tu samjhana parta hai


rasta ho dushwaar ya raahi anjaane
is jeevan ka saath nibhana to parta hai


khamoshi ke dasne ka dar ho jis dam
ayse mein khud shor machana parta hai


paas mere to sirf tumhari yaaden hai
yaadon se dil ko behlana parta hai.....!

No comments: