karke bewafai wo puchte hai k haal kaisa hai

karke bewafai wo puchte hai k haal kaisa hai
dekho ye andaaz kaisa hai or ye sawaal kaisa hai

wo hamara kabhi tha hi nahi or unka tu na tha
unke yun ruth jaane se malaal ye kaisa hai

har baat bata deti hai wo khamoshi se hamko
aankho me mere yaar ka kamaal ye kaisa hai

sholay jo uth rahe hai bagawat ke aajkal
yeha koi kisi ka nahi ye saal kaisa hai

agar tu nahi qaatil to sharik-e-gunaah to hai
bus hamne tu itna bata chehra tera laal ye kaisa hai

ham to shikaar unke khayalon k hai kashif
wajood me unke ye mohabbat ka jaal kaisa hai.....!

No comments: