khamosh palkon pe dariya ruka hai abhi
tumhare intezar me ek lamha ruka hai abhi

sadiyon ka faasla to tay kar liya hum ne
sirf do qadmon ka safar ruka hai abhi

waqt ke dariya pe sawar ho tum ye jaan lo
tumhare pyar ke liye koi shaks ruka hai abhi

aa jao ke zindagi tamaam na ho jaye hamari
badey ehtamaam se maut ko taala hai abhi

sadayein de de ke be-awaz na ho jaoon kahin main
Aa jao laut ke ek jumla meri zuban pe ruka hai abhi…!