ues yaad kar k na dil dukha jo guzar gaya wo guzar gaya



use yaad kar k na dil dukha jo guzar gaya wo guzar gaya
kahan lout kar koi ayai ga jo guzar gaya wo guzar gaya

nayai subah hai nayai shaab hai naya shahar hai naya naam hai
wo chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gaya woh guzar gaya

koi ayae ga koi jayai ga koi jayai ga koi ayai ga
suno raston ki sada jo guzar gaya wo guzar gaya

teray paas tera habib hai jo nhi mila wo naseeb hai
koi phool kehta hai muskura jo guzar gaya woh guzar gaya

mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas kar
nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gaya wo guzar gaya

yaha aetbar-o-yaqeen hai ye haqiqaton ki zameen hai
zara dair ka koi khuwab tha jo guzar gaya wo guzar gaya.....!

No comments: