nhi hai teri misal jaana



nhi hai teri misal jaana

dabi dabi si wo muskarahat
labon pe apnay saja saja k

wo naram lehjay main baat karna
ada se nazrain jhuka jhuka k

wo aankh teri shararti si
wo zulf mathay pe nachti si

nazar hatay na ek pal bhi
main thak gya hu hata hata k

wo teray hathon ki ungliyon ko
milla kya zulfon main kho sa jana

haya ko chehray pay phir sajana
phool chehra khila khila k

wo hath hooroun k ghar ho jaisay
wo paon pariyoun k par ho jaisay

nhi hai teri misal jaana
main thak thak gya ho bata bata k....!

No comments: