dil to cahata hai zindagi ki ek kahani likhon



dil to cahata hai zindagi ki ek kahani likhon
wo kahani main sach ki zubani likhon


apne jazbat ko main samandar likhon
apni sochon ko mojo ki rawani likhon


kabhi dil ki ek khushi ka mahol likhon
ya kabhi gham ko aankhon se behta pani likhon


us k manane ko us ki mohabbat likhon
ya phir apne rooth jane ko apni nadani likhon


apni jaan ko us ki amanat likhon
ya us k naam apni ye zindgani likhon.....!

No comments: