aaj main door hu sabse



aaj main door hu sabse
par sabki yaadon k karib hu
bhula chuka hu main khud ko
par apne saaye k karib hu
jab main tanha tha bhari mehfil main
koi kehne ko bhi na aaya main tere karib hu
aaj jab dukha hai dil tumhara
to phir se fariyaad karte ho
kya main bas tumhaare
zakhmo ka nasib hu
haqeekat main na sahi liken mein tere
khwabon k to karib hu....!

No comments: