Kal Chand Se Ye Sawal Kiya



Kal chand se hamne ye sawal kiya

Bata to sahi wo kesa hai ?

To us ne kaha

Kuch meri roshni k jesa hai

Kuch aftaab k jesa hai

Kuch kaliyon si hai muskaan us ki

Kuch khiltey gulaab k jesa hai

Kuch ujaley mein hai jhalak us ki

Kuch raat k shabaab k jesa hai

Agar husan ko main ek sawal kahoon

To us k jawab k jesa hai

Jise dekhoon aur main choo na sakoon

Aisay sundar khwaab k jesa hai

Kehtay hai ishq ibadat hai

To wo us k sawaab k jesa hai.....!

No comments: